Wo Hawaa Na Rahi, Wo Chaman Na Raha, Wo Gali Na Rahi Wo Hasee'n Na Rahay, Wo FaLak Na Raha Wo Samaa'n Na Raha, Wo Makaan Na Rahay Wo Makee'n Na Rahay.
Akbar Allahabadi Shayari
Wo Hawaa Na Rahi, Wo Chaman Na Raha,
Wo Gali Na Rahi Wo Hasee'n Na Rahay,
Wo Gali Na Rahi Wo Hasee'n Na Rahay,
Wo FaLak Na Raha Wo Samaa'n Na Raha,
Wo Makaan Na Rahay Wo Makee'n Na Rahay.
Wo Makaan Na Rahay Wo Makee'n Na Rahay.
Wo Gulo'n Mein GuLo'n Ki Si Bu Na Rahi,
Wo Azeezon Mein Lutf Ki Khoo Na Rahi,
Wo Azeezon Mein Lutf Ki Khoo Na Rahi,
Wo Haseeno'n Mein Rang-E-Wafaa Na Raha,
Kaheen or Ki Kia Wo Hamee'n Na Rahay.
Kaheen or Ki Kia Wo Hamee'n Na Rahay.
Na Wo Aan Rahi Na Umang Rahi,
Na Wo Rindi-O-Zohd Ki Jang Rahi,
Na Wo Rindi-O-Zohd Ki Jang Rahi,
Soo-E-Qibla Nigaahon K Rukh Na Rahay,
Or Dair Pe Naqsh-E-Jabee'n Na Rahay.
Or Dair Pe Naqsh-E-Jabee'n Na Rahay.
Na Wo Jaam Rahay Na Wo Mast Rahay
Na Fidaai-E-Ahd-E-Alast Rahay,
Na Fidaai-E-Ahd-E-Alast Rahay,
Wo Tareeqa-E-Kaar-E-Jahaa'n Na Rahaa,
Wo Mashaaghil-E-Ronaq-E-Dee'n Na Rahay.
Wo Mashaaghil-E-Ronaq-E-Dee'n Na Rahay.
Hamein Laakh Zmaana Lubhaaye Tou Kia,
Na'ey Rang Jo Charkh DiKhaaye To Kia?
Na'ey Rang Jo Charkh DiKhaaye To Kia?
Ye Muhaal Hai Ahl-E-Wafa K Liye
Gham-E-Millat-O-Ulfat-E-Dee'n Na Rahay.
Gham-E-Millat-O-Ulfat-E-Dee'n Na Rahay.
Tere Koocha-e-Zulf Mein Dil Hai Mera,
Ab Usay Main Smjhta Hoo'n Daam-E-Bala,
Ab Usay Main Smjhta Hoo'n Daam-E-Bala,
Ye Ajeeb Sitam Hai Ajeeb Jafa,
K Yahaan Na Rahay Tou Kahee'n Na Rahay.
K Yahaan Na Rahay Tou Kahee'n Na Rahay.
Ye Tumhaaray Hi Dam Se Hai Bazm E Tarab,
Abhi Jaao Na Tum Na Karo Ye Ghazab,
Abhi Jaao Na Tum Na Karo Ye Ghazab,
Koi Baith K Lutf Uthaaye Ga Kia,
K Jo Ronaq-e-Bazm Tumhee'n Na Rahay.
K Jo Ronaq-e-Bazm Tumhee'n Na Rahay.
Jo Thee'n Chashm-E-Falak Ki Bhi Noor-E-Nazar,
Wohi Jin Pe Nisaar Thay Shams-O-Qamar,
Wohi Jin Pe Nisaar Thay Shams-O-Qamar,
So Ab Aisi Miti Hain Wo Anjumanain,
K Nishaan Bhi Un K Kahee'n Na Rahay.
K Nishaan Bhi Un K Kahee'n Na Rahay.
Wohi Sooraten Reh Ga'een Paish-e-Nazar,
Jo Zmaanay Ko Phairen Idhar Se Udhar,
Jo Zmaanay Ko Phairen Idhar Se Udhar,
Magar Aisay Jamaal-E-Jahaan Aaraa
Jo Thy Ronaq-E-Ru-E-Zamee'n Na Rahay.
Jo Thy Ronaq-E-Ru-E-Zamee'n Na Rahay.
Gham-O-Ranj Mein AKBAR Agar Hai Ghiraa,
Tou Samajh Lay K Ranj Ko Bhi Hai Fanaa,
Tou Samajh Lay K Ranj Ko Bhi Hai Fanaa,
Kisi Shay Ko Nahi Hai Jahaan Mein Baqaa,
Wo Ziyaada Malool-O-Hazee'n Na Rahay.
Wo Ziyaada Malool-O-Hazee'n Na Rahay.
Suggested: Aitibar Sajid | Akbar Allahabadi
Akbar Allahabadi
Gham Nahi Is Ka Jo Shohrat Ho Gayi,
Ho Gayi Ab Tou Mohabbat Ho Gayi.
Ab Kahaa'n Aglay Say Wo Raaz-O-Niyaaz,
Mil Gaye Saahab Salaamat Ho Gayi.
Haaye Kia Dil-Kash Hai Us Ki Chashm-E-Mast,
Aankh Miltay Hi Mohabbat Ho Gayi.
Chaudhwaa'n Saal Un Ko Hai Naam-E-Khuda,
Umr Aafat Thi Qayaamat Ho Gayi.
Naaz Say Us Nay Jo Dekha Sheikh Ko,
Un Ki Dee'n-Daari Hi Rukhsat Ho Gayi.
COMMENTS